Om Shri Ganadhipataye Namah
Om Shri UmaMaheshwarabhyam Namah
Valmiki Guru Dev ke, pad pankaj sir naay
Sumire Maat Saraswati, hum par ho sahay
Mata pita ki vandana, karte baarambaar
Guru-jan raja praja jan, naman karo sveekar
Hum katha sunaate Ram sakal gun dhaam ki
Yeh Ramayan hai punya katha Shri Ram ki
Jambu dweep Bharat khande, Aryavarta Bharat varshe
Ek nagari hai vikhyaat Ayodhya naam ki
Yahi janmabhoomi hai, param poojya Shri Ram ki
Hum katha sunaate Ram sakal gun dhaam ki
Yeh Ramayan hai punya katha Shri Ram ki
Raghukul ke raja dharmatma, Chakravarti Dasharath punyatma
Santati hetu yagya karvaya, dharmyagya ka shubh phal paaya
Ghar janme chaar kumara, Raghukul deep jagat aadhara
Chaaro bhraaton ke shubh naama, Bharat, Shatrughna, Lakshman, Rama
Guru Vashishth ke gurukul jaake, alp kaal vidya sab paake
Poorn hui shiksha, Raghuwar poorn kaam ki
Hum katha sunaate Ram sakal gun dhaam ki
Yeh Ramayan hai punya katha Shri Ram ki
Madhur swar komal bhavana, rochak prastuti dhang
Ek ek kar varnan karein, Lav Kush Ram prasang
Vishwamitra mahamuni raai, inke sang chale do bhai
Kaise Ram Taadka maari, kaise Nath Ahilya taari
Munivar Vishwamitra tab, sang le Lakshman Ram
Sita swayamvar dekhne, pahunche Mithila dhaam
Janakpur utsav hai bhaari, apne var ka chayan karegi Sita sukumari
Janakpur utsav hai bhaari, Janak raj ka kalin pran
Suno suno sab koi, jo tode Shiv Dhanush ko so Sita pati hoi
Kaun tode Shiv Dhanush kathor, sabki drishti Ram ki ore
Ram vinay gun ke avatar, Guruwar ki aagya sir dhar
Sahaj bhaav se, Shiv Dhanush toda, Janak suta sang naata joda
Raghuwar jaisa aur na koi, Sita ki samta nahi hoi
Dou kare paraajit kaanti koti Rati Kaam ki
Hum katha sunaate Ram sakal gun dhaam ki
Yeh Ramayan hai punya katha Shri Ram ki
Sab par shabd mohini daari, mantra mugdh bhaye sab nar naari
Yun din rain jaat hai beete, Lav Kush ne sab ke mann jeete
Van gaman, Sita haran, Hanumat milan, Lanka dahan, Ravan maran
Vistaar sab katha sunayi, Raja Ram bhaye Raghurai
Ram Raj aayo sukhdaayi, sukh samriddhi Shri ghar ghar aayi
Kaal chakra ne ghatna kram mein, aisa chakra chalayaa
Ram Sita ke jeevan mein, phir ghor andhera chhaya
Avadh mein aisa, aisa ek din aaya
Nishkalank Sita pe praja ne, mithya dosh lagaya
Avadh mein aisa, aisa ek din aaya
Chal di Sita jab tod kar, sab neh naate moh ke
Pashaan hridayo mein na angare jage vidroh ke
Mamtamayi maaon ke aanchal bhi simat kar reh gaye
Gurudev gyaan aur neeti ke, saagar bhi ghat kar reh gaye
Na Raghukul na Raghukul nayak, koi na Siya ka hua sahayak
Maanavta ko kho baithe jab, sabhya nagar ke vaasi
Tab Sita ko hua sahayak, van ka ek sanyaasi
Un rishi param udaar ka, Valmiki shubh naam
Sita ko aashray diya, le aaye nij dhaam
Raghukul mein kuldeep jalaaye, Ram ke do sut Siya ne jaaye
Shrota gan jo ek raja ki putri hai, ek raja ki putr vadhu hai
Aur ek Chakravarti raja ki patni hai, wahi Maharani Sita
Vanvaas ke dukhon mein, apne din kaise kaat’ti hai
Apne kul ke gaurav aur swabhimaan ki raksha karte hue
Kisi se sahayata maange bina
Kaise apna kaam vah swayam karti hai
Swayam van se lakdi kaat’ti hai
Swayam apna dhaan koot’ti hai
Swayam apni chakki pees’ti hai
Aur apni santaan ko swavalambi banne ki shiksha kaise deti hai
Ab unki karun jhaanki dekhiye
Janak dulaari kulvadhu Dasharath ji ki, raj rani ho ke
Din van mein bitaati hai, rehte the ghere jise daas daasi aatho yaam
Daasi bani apni, udaasi ko chhupaati hai
Dharam praveena sati, param kuleena sab vidhi dosh hina
Jeena dukh mein sikhati hai
Jag mata Hari priya Lakshmi swaroopa Siya, koot’ti hai dhaan
Bhojan swayam banaati hai
Kathin kulhadi leke lakdiyaan kaat’ti hai
Karm likhe ko par kaat nahi paati hai
Phool bhi uthana bhaari jis sukumari ko tha
Dukh bhare jeevan ka bojh woh uthati hai
Ardhangini Raghubeer ki vah dhare dheer
Bharti hai neer, neer nain mein na laati hai
Jiske praja ke apvaadon ke kuchakra mein
Peesti hai chakki swabhimaan ko bachati hai
Paalti hai bachchon ko, woh karmyogini ki bhaanti
Swabhimani swavalambi sabal banati hai
Aisi Sita Mata ki pariksha lete dukh dete
Nithur niyati ko daya bhi nahi aati hai
Us dukhiya ke raj dulaare hum hi sut Shri Ram tihare
Sita Maa ki aankh ke taare
Lav Kush hai pitu naam hamare
Hey pitu bhaagya hamare jaage
Ram katha kahi Ram ke aage